Posts

Showing posts from 2010

Muskurane ke liye maine bahane bhi kiye

Muskurane ke liye maine bahane bhi kiye Aazmane ke liye badali zamane bhi kiye... Yaad teri ummed bankar Sathme par fir bhi thi Tumko bulane ke liye Maine bahane bhi kiye... Maikade aur sang saki Intazaar fir bhi baki Shab ye na jane ke liye Maine bahane bhi kiye... Kolahit jab man ye jaga Yuhi bhataka bhaga bhaga Man ko manane ke liye Maine bahane bhi kiye...... With Luv Sarang...

Har lamho me....

Har lamho me dil ko jo sukun denekin justaju hoti Jindagi to haseen par, kayamat bhi ek jashn hoti Bekar hi wehem karte aaye jindagi ka hum to gar maut hi aggaaz hoti, jindagi bhi kya anjaam hoti .... with luv Sarang ...

Main Guzra ek kal ban baitha....

Main guzra ek kal ban baitha, pal pal behta jal ban baitha Ek pal jeeta, sau pal hara Main logon ki soch ka mara Sochne me yeh janam gaya to Pal ka mara pagal ban baita.. Main guzra ek kal ban baitha.. Jitne aaye sabhi paraye Apne koso nazar na aaye Jeevan se man behel gaya to Maut ka main kayal ban baita... Main guzra ek kal ban baitha.... Beeraha ke kuch palon ne jab bhi Aansuonko raah dikhayee... Apane par hi hasna aaya Haste haste main ro baitha Main guzra ek kal ban baitha Pal pal beheta Jal ban baitha.... Sarang....

Har tajrabey se mulakaat kabse karta aa raha hun....

Har tajrabey se mulakaat kabse karta aa raha hun.... Har lamhe se char baat kabse karta aa raha hun Tha yakeen jab housalon par …sabr bhi dil me jo tha… Har saans ka jashn tabse main manata aa raha hun Gujre lamho ki kahani ...waeejo ki wo nadaani Chaq dil ke, tute patte, behti dariya aur wo pani Waqiye jo bit gujre, sog manata jaa raha hun.. Un waqiyo ki dastan main sunata jaa raha hun... Thar tharati surrkh sanse....abr hote kuch lifafe Sang khilta saqui firbhi paimano me tha wo pani har seher jo beet jati ilm uska jaanata hun… har shab ka jashn tabse main manata aa raha hun….” Sarang…. 4 th March 2010

Recent few lines by me ...

har sans mange jindagi se, ek hi ek jawab beeti sans ne dekha tha jo, kaha gaya wo khwab…. mumtazir si jindagi ne saas se fir ye kaha har lamha jo sath me beeta tha wohi nayaab Aaina bhi aks se fir bas yehi kya kehta hoga aanewala aks fir firse har pal kya ek hi jaisa hoga Dekh aaina, fir jindagi ne, saas se mudkar kaha Pal pal apne aks ko dekho, paa jaogi tum jawab….....(21st may 2010) with love Sarang ….