Har tajrabey se mulakaat kabse karta aa raha hun....
Har tajrabey se mulakaat kabse karta aa raha hun....
Har lamhe se char baat kabse karta aa raha hun
Tha yakeen jab housalon par …sabr bhi dil me jo tha…
Har saans ka jashn tabse main manata aa raha hun
Gujre lamho ki kahani ...waeejo ki wo nadaani
Chaq dil ke, tute patte, behti dariya aur wo pani
Waqiye jo bit gujre, sog manata jaa raha hun..
Un waqiyo ki dastan main sunata jaa raha hun...
Thar tharati surrkh sanse....abr hote kuch lifafe
Sang khilta saqui firbhi paimano me tha wo pani
har seher jo beet jati ilm uska jaanata hun…
har shab ka jashn tabse main manata aa raha hun….”
Sarang…. 4th March 2010
Comments